Saturday, 22 September 2012

JAB TAK HAI JAAN

Teri aankhon ki namkeen mastiyaan
Teri hansi ki beparwa gustaakhiyaan
Teri zulfon ki lehrati angdaaiyaan
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan”

“Tera haath se haath chodna

Tera saayon ka rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karoonga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan"

“Baarishon mein be dhadak tere naachne se
Baat baat pe be-wajah tere rutne se
Choti choti teri bachkaani badmaashiyon se
Mohabbat karoonga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan”

“Tere jhoote kasme vaado se
Tere jalte sulakte khwaabo se
Teri behrehman duao se
Nafrat karoonga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan”

No comments:

Post a Comment